How To Train Parrot In Urdu To Talk Bolne Wala Tota Parrot Price In Pakistan Parrot Tips

  Lal Gulab      
How To Train Parrot In Urdu -  Bolne Wala Tota Tips: Parrot khareedna ya kyoun keh lain ke us ka malik hone ka aik bara faida ye hai ke aap ka tota bolne wala ho aur agar apne totay ko bolna seekhana chahte hain tou sub se pehle is baat ka khayal rakhain ye woh parrot purchase karain jo toton ke un khandan mein se ho insani zuban ki naqal behtar utar sakain kyoun ke in ki bohat si iqsam hain par in mein totay ki khuch iqsam aisi hoti hain jo zayada acha boltay hain is article mein khuch steps aur tips parrot speaking in urdu mein aap ko tasfeel se bataon ga.

1: Sahi Parindey Ka Intekhab: Agar aap bohat serious hain ke aap ke paas woh parinda ho jo aap ki zuban bolay tou aap ko is baat ko mad-e-nazar rakhna ho ga ke us parrot ka intekhab kahain jo bolnay ke liye famous hai. Masal ke tor par Congo African, Amazon jese totay sekhnay aur samajhne ki achi salahiyat rakhte hain in ko khareednay se pehle online search karain, kisi aisay insan se in ke bare mein mashwara karain jisay in ke mutaliq maloomat hain ya phir aap mujhse yahin tallking parrot article par comment mein mashwara kar saktay hain.

2:  Khanay Ke Naam Lay Kar Sekhana: Aap ne apna pasindida parinda khareed liya hai tou aap ab usay bolna seekhanay ke liye totay ke pasandida food ke naam lay kar us se baat karain aur jub bhi usay khana dain aur us khanay ka naam lain jo usay sikhana chahtay hain par mohabbat se paish ayain agar woh daray na tou asani se bolay ga.

3: Baar Baar Baat Karna:
Agar aap parrot se mutadad baar din mein baat karain tou woh aap ke words sunay ga aur jo lafz aap us ke samne baar baar dohrayain gey woh unhain zayada acha yaad rakhay ga aur ye mumkin hai ke woh zayada jaldi bolay.

4: Talking & Financial Benefits of Parrots:
Agar aap aik se zayada totay khareed lain aur woh sare bolna seekh lain tou ye aap ke liye bara faide ki baat hai kyoun ke jo mehnat aap aik totay ko bolna seekhna mein lagayain usi mehnat mein sare totay bolna seekh saktay hain aur ye ke bohat se faide hain misal ke tor par aap ke paas pinjray mein 4 totay achi aur mehngi nasal ke hon tou aap un mein se kisi aik se bhi batain karin gey tou woh sare aap ki batain learn kar ke bolna shuru kar dain tou aap unhain chahain tou rakhain aur chahain tou sale kar dain kyoun ke bolne wala tota ki qeemat 5000 se 30000 tak hai jo is price mein sale ho jata hai.
 
African surmai tota batain karne ki salahiyat ki wajah se kafi mashoor hai bartania mein aik khatoon ke paas aisa paltu tota hai jis ne 800 se zaid words yaad kar rakhe hain is african surmai parrot ko london mein batain karne wale behtareen totay ka award bhi mila hai. African surmai totay khuch hours mein hi words sekhta hai aur mukhtalif tasrat for example bhook, khoof aur bezari waghera ka izhar bakhoobi kar sakta hai ye insanon se hamesha hi manoos rahe hain insan in ka shikar bohat shoq se karte hain lekin inhain khane ke liye nahin balkeh palne ke liye, parindon ke shoqeen afrad inhain mehngey damon khareedtay hain palne ke liye hamesha totay ka bacha lena chahiye, bachpan se hi totay ko awaz ki naqal utarne aur insanon ki tarah batain karne ki tarbiyat dene mein saholat rehti hai, totay agar paharon aur janglon mein azad phirain tou in ki insanon ki tarah batain karne ki salahiyat parwan nahin charhti ye insanon ki tarah reh kar hi awaz ki naqal utar sakte hain, agar aap ke paas parrot hai aur aap chahte hain ke woh bolna sekh lay tou alfaz ko kayi dafa dohrayain tota khud ba khud ilfaz sekh le ga lekin is doran jald bazi na karain is tarah woh naraz ho jaye ga aur khuch bhi nahin seekhay ga.
logoblog

Thanks for reading How To Train Parrot In Urdu To Talk Bolne Wala Tota Parrot Price In Pakistan Parrot Tips

No comments:

Post a Comment