Elephant Information In Urdu Hathi History Elephant Teeth Price In Pakistan

  Lal Gulab      
Elephant History In Urdu Hathi Information In Urdu Haathi jangli hayat mein taqatwar tareen mamalia jana jagta hai hathi ki 3 types hain africi bush hathi, africi jangli hathi (jisay africi haathi bhi kaha jata hai) aur asiai hathi jisay indian haathi bhi kaha jata hai jabkeh is ki baqi iqsam barfeelay zamane mein taqreeban 10,000 saal pehle khatam ho chuki hain. Aik elephant taqreeban 22 maheenay mein paida ghota hai jo ke kisi bhi zameeni janwar ke muqablay mein taweel tareen arsa hai. Paidaesh ke waqt aik elephant ke bache ka amoomi weight 120 kg tak hogta hai.


Hathi Ke Bare Mein Maloomat: Hathi ke mutaliq mazeed knowledge ke liye safah 2 pahain Elephant Page 2

Hathi ki skin 1 inch tak moti hoti hai, ye aik dusre se apne paon ke khron se rabgta karte hain aur bohat se khatrat ke bare mein aik dusre ko batate bhi hain, elephant aik jazbati janwar hai jo rotay bhi hain kheeltay bhi hain is ke ilawa purani yadon ko yaad karte hain aur hanstay bhi hain, agar koi purana sathi bohat dair baad un mein dobara wapas ata hai tou woh us ke galey miltay hain aur is moqa par party bhi ki jati hai. Haathi ke kaan hogte tou bohat bare hain lekin is ke bawajood un ki sunnay ki salahiyat bohat kamzoor hai aur in ke zayada weight ki wajah se woh bohat ache terak bhi hotay hain sirf elephant heart weight hi 11 se 15 kg hota hai, in ki soonghne ki salahiyat tez par dekhne ki bohat kamzoor hoti hai, ye bhi insanon ki gtarah aik hathi ko dusre par foqiyat dete hain. Elephant apne bachon ke baray mein bohat hasas hote hain. Aik bacha kisi cheez ke bare mein shikayat karta hai tou pura khandan us ki baat sunnay ke liye ajata hai, dunya mein sirf aik mammal jump nahin laga sakgta woh elephant hai.

Elephants Ki Musalsal Kam Hoti Tadad: Koi aik sadi pehle africa mein hathiyon ki tadad aik crore thi aaj africi hathiyon ki tadad 4 lack 50 hazar se 7 lack ke darmiyan batai jati hai jabkeh asia mein jangli hathi ki tadad 35000 se 40000 ke darmiyan hai. Aik ashray mein hathiyon ki tadad mein 62% kami ki wajah se expergts ne khadsha zahir kiya hai ke agley 10 saal ke andar andar hathi taqreeban khatam bhi ho saktay hain.

Elephant Teeth Price In Pakistan - Hathi Ke Daant Ki Qeemat:
Halak hone wale africa ke hathiyon ke dant zayada tar asia ki market mein sale kiye jatay hain guzashta 5 saal mein Cheen mein elephant teeth ki mang mein kafi izafa hua hai jis se hathiyon ko halak karne ka rujhan bhi bohat barh gya hai. Khayal kiya jata hai ke jangli hayat ki tijarat teesra bara ghair qanooni karobar hai aik andazay ke mutabiq 1 pound wazni hathi dant ki price 1000$ tak hai. Elephants ke business par international level par pabandi ke bawajod elephants ko nishana banaya ja raha hai.

Hathiyon Ki Rehne Ki Jaghien Kam Hoti Hoi: Ghair qanooni shikar ke ilawa hathiyon ko ye bara masla bhi dar paish hai ke un ke rehne ki jagah musalsal kam ho rahi hai khuch ashron ke andar andar africa mein Insani Abadi mein kafi izafa ho shuka hai aur youn hathiyon ke liye jagah mazeed tang ho gyi hai. Zarai zameen ke liye bare area par pheelay janglat saaf kar diye gye hain.
logoblog

Thanks for reading Elephant Information In Urdu Hathi History Elephant Teeth Price In Pakistan

No comments:

Post a Comment