Elephant Essay In Urdu Hathi Paragraph on Elephant In Hindi Essay Hathi Par

  Lal Gulab      
Elephant Essay In Urdu Hathi Par Mazmoon Ye aik bohat mamalia janwar hai jo apni lambi soond aur lambay lambay 2 danton ki wajah se pehchana jata hai ye bohat samajhdar aur taqatwar janwar hai zameen par rehne wale ye sub se bare janwar hain aur in ki umar 560 se 100 saal ke darmiyan hoti hai. Tamam insani tarikh mein hathiyon ne aik aham kardar ada kiya. Puranay waqton mein hathiyon ko jangi maqsad ke liye istemal kiya jata tha is ke ilawa in se bhari kaam bhi karwaye jatay hain. 

Thailand, bharat aur janoob mashriqi asia mein hathiyon ki ibadat bhi ki jati hai. guzashta 40 saal mein zameen par hathiyon ki 600 mukhtalif iqsam wajood mein ayien aaj dunya mein hathi ki sirf 2 iqsam (types) hain jinhain african hathi aur asian hathi ke naam se jana jata hai. waqt aur mausam ki tabdeeliyon aur insan ke hathon in ke shikar ki wajah se hagthiyon ki bohat si iqsam dunya se mit gyi. Beeswien sadi ke aghaz mein hathiyon ki tadad 5 se 10 million ke darmiyan thi par bare pemanay par shikar aur mahool ke tabgah hone ki wajah se aaj in ki tadad 640,000 reh gyi hai.

Scientists ye samajhte hain ke shayed is janwar ki nasal khuch arsay tak khatam ho jaye gi aaj se 65 million saal pehle hathi ki pehli qisam jisay Moeritharium kehte thay misr ke alaqay mein paisa hoi un ka size mushkil se bhains jitna tha us ke daant thay magar us ki soond na thi. Is ke baad anay wali qisam asia, europe aur africa ke alaqon mein aaj se 54 million saal pehle paida hoi un ke 2 dant jo ke pechay ki taraf muray hue thay aur soond bhi thi isay Deinogtheriodea kaha jata tha.

Ye aaj se 10000 saal pehle bilkul khatam ho gye thay is ke baad aur bohat si qismain agyien aur khatam ho gayien magar baad mein 2 hathiyon ki types ayien jo ke janoobi asia, africa europe mein abad rahien aur aaj se 8000 saal pehle khatam ho gayien. Aaj ka haathi (elephant) inhi 2 qismon ki taraqi yafta shakal hai.

Africa aur asia ke hathi size, rang aur jisamagt mein aik dusre se mukhtalif hote hain africi hathi ka size bara aur kaan choray hote hain. Africi hathi ka rang halka saleeti hota hai asia ke hathi ka size chota aur kaan kam choray hote hain in ka wazan 2300 se 3000 kg tak hogta hai.

Want More Lines or Paragraph on Elephant In Hindi and Urdu?
Agar ye elephant mazmoon chota hai aap ke liye aur material chahiye tou aap safah number 1 dekhain is mein bachon ke liye aur har class ke liye jin mein 1,2,3,4,5,6,7,8,9,10 class bhi shamil hai ke liye khas tor par likha hai Elephant page 1 for kids.

tags: hathi par nibandh, hathi par essay, elephant speech short
logoblog

Thanks for reading Elephant Essay In Urdu Hathi Paragraph on Elephant In Hindi Essay Hathi Par

No comments:

Post a Comment