Dubai History In Urdu Dubai Information In Hindi Dubai Tourism In Urdu

  Lal Gulab      
Dubai History In Urdu - Dubai Information: Dubai city muttahida arab emirate ka aik shgehar hai jisay mulk ke sub se bara shehar honay ka aizaz mila Dubai apni shandar sanaton, construction aur rehaesh ke azeem mansoobon, shandar sports events ke baes dunya bhar mein famous hai. Dubai city sanaton ke ilawa seyahat ke hawalay se bhi dunya bhar mein mashoor hai aur is waqt shehar mein jari tameerati mansoobay dunya bhar ki nigahon ka markaz hain dubai shehar dunya ki 25 rich cities mein shamil hai.


Maloomat Dubai Ki Tareekh In Urdu: 1833 mein bani yas qabeelay se taluq rakhne wale taqreeban 800 afrad maktoom khandan ki sarbarahi mein khaleej ke dahanay par akar abaad hue. Khaleej aik qudrati bandargah thi aur Dubai jald hi mahi geeron, heeron aur samandari tijarat ka markaz ban gya. 20th century ke aghaz tak Dubai aik kamyab bandargah ban gyi thi door daraz ke tajar yahan tijarat ki gharz se atay thay. Sahil samandar par sub se bari market thi jis mein 300 shops thien jin par  tourists aur karobari logon ka hajoom rehta tha. 1930 tak dubai ki abadi taqreeban 20,000 thi jin mein chothai hisa tarkeen watan logon ka tha. 1994 mein oil ki daryaft ke baad tail ki amdani ko dubai ke bunyadi dhancha ki tameer ke liye istemal kiya.

Dubai international airport mein aik new port aur terminal building tameer ki gyi. Runway ke wusat ke mansoobay ki takmeel qabil amal ayi takeh har qisam ke jahazon ki naqam o hamal ko bardasht kar sakay. Dubai jis mulk ka shehar hai aaj ye mulk dunya ke ameer mumalik mein se hai.

Dubai Ki Tehzeeb o Saqafat: Dubai ki tehzeb 0 tamadan ki jarain Islami riwayat se ja kar milti hain aur Dubai ke bashindon ke tarz zindagi ki mazhar hain yahan ka culture tareekhi tor par bhi shandar hai. Beroni tarkeen watan apne mazhabi faraiz ki adaigi ke silsile mein mukamal tor par azad hain aur wahan koi bhi libas pehannay ki azadi hai. Dubai mein khawateen se tafreeqi salooq nahin kiya jata, khush ikhlaqi aur mehman nawazi dubai ki latadad khubiyon mein se aik hai. Yahan ki sarkari language Arabic hai lekin aksar log daftaron se barie angreezi mein baat cheet kartay hain. Mukhtalif aqwam se taluq rakhne wale log dubai mein rehtay hain aur angrezi ko roz'marah ki baat cheet mein aik mushtarka zuban ke tor par istemal kartay hain. Aksar sarkon aur dukanon ke sign boards aur hotels ke menu Arabic aur English donon zubanon mein likhe hote hain. 

Places To Visit In Dubai In Urdu: Dubai Tourism - Seyahati Markaz: Seyahon ki photography qabil qabool hai aur un se tamam khubsurat cheezon ki tasweer kashi ki tawaqa ki jati hai aam tor par logon ki tasweer utarne se pehle un se puchna aik muhazab tareeba khayal kiya jata hai. 1990 ke start mein ye jagah aik ala sair o siyahat ka international markaz ban kar amli tor par samne ayi yahan tourism par kiye janay wale expenses ne pehle saalon se bohat zayada munafa diya. 2000 mein mehmanon ki tadad hairat angeez tor par 3 million tak pohanch gyi jo ke dubai ki abadi 850000 se bhi tajawaz kar gyi.

Dubai ab aik aisa shehar hai jis ke qabil fakhar hotels, ala sanat, dunya ki behtareen mehmaan nawazi aur kheel ki tafreehat ka koi sani nahin hai. Jumerah ke kinare waqia khubsurat burj al arab hotel dunya kla wahid 7 star hotel hai. Is ke ilawa dubai mein burj khalifa tameer kiya gya hai jo is waqt dunya ki buland tareen imarat hai.
logoblog

Thanks for reading Dubai History In Urdu Dubai Information In Hindi Dubai Tourism In Urdu

No comments:

Post a Comment