Crocodile Information In Urdu Magarmach History Crocodile Essay In Hindi & Urdu

  Lal Gulab      
Crocodile Information In Urdu Magarmach: Magarmach ka meaning aisa rengnay wala janwar hai jo pani ke andar aur pani ke bahir rehta hai inhain jal thelay bhi  kehtay hain. Crocodile pani mein apna zayada tar waqt guzarnay wale hotay hain jo khushki par bhi reh saktay hain magarmach africa, asia, amreeca aur australia mein paye jatay hain. In ki aksariyat meethay pani jesa ke darya, jheel, daldalon jabkeh khush types crocodile ki kharay pani mein bhi rehti hain. Ye machliyon aur mamalia janwaron par guzara kartay hain taham degar ghair aabi janwar khane mein koi aar mehsoos nahin karte. 

Crocodile History In Urdu Magarmach ki tareekh par nazar dalian tou ye bohat qadeem janwar hain aur andaza hai ke un mein dainasoron ke door se ab tak bohat kam tabdeeliyan ayi hain. Dianasor sarhay 6 crore saal pehle na paid ho gye thay jabkeh magarmach taqreeban 20 crore saal se mojood hain.

Wajah Tasmia:
English mein magarmach ko kya kehte hain? Angreezi zuban mein isay crocodile kehte hain jo bazad-e-khud qadeem unani zuban ka lafz hai.

Facts and Details of Crocodile In Urdu: magarmach qadeem hone ke bawajood hayatyati aitbar se kafi pecheeda janwar hain in ki beroni sakht inhain aabi aur shikari janwar zahir karti hai aur kamyab shikari banati hai. In ka jism aik khagt ki shakal mein hota hai jis ki wajah se ye teezi se gtair saktay hain. Magar tairnay ke doran peer apne jism se chipka laite hain jis se teerna aur asan ho jata hai in ke pairon ki ungliyon mein jhili hoti hai jis se gtairaki mein madad milti hai is ke ilawa isi jhili ki wajah se ye teezi se mur saktay hain jabkeh achanak harkat karna aur tairna shuru karna bhi asaan ho jata hai is ke ilawa kam gehre pani mein deegar janwaron ki nisbat inhain chalne mein asani rehti hai.

Pani mein jatay hi in ke nathnay band gho jatay hain aur halq mein aik izafi dhakan ki tarah ka pata hota hai jo pani ko andar jane se rokta hai. Pani ke andar aur pani ke bahir bhi mukhtasir faslay ke liye magarmach intihai teezi se harkat kar saktay hain. Crocodile apne shikar ko jhapat kar aur daboch kar halak karte hain is liye in ke dant tez hote hain, magarmach ke jabray mein kisi bhi dusre janwar ki nisbat zayada taqat hoti hai per muraba inch magarmach 5000 pound jitni tagat lagatay hain.

Hayatyat Aur Rawaiya: Crocodile ghat laga kar war karta hai yani ye chup kar machliyon aur dusre janwaron ka intezar karte hain ke woh qareeb ajayain. Qareeb agtay hi ye jhapat un par war karte hain aur ye zayada arsay tak khorak (diet) ke baghair zinda reh saktay hain. Sust jismani harkat ke baraks ye apne fitri mahool mein sub se behtareen shikari hain in ki mukhtalif iqsam sharkon par hamla kar ke unhain halak bhi kar deti hai. Bohat se crocodiles pathar bhi kha jatay hain is se un ka tawazan behgtar ho jata hai aur khorak hazam karne mein bhi madad milti hai, khagtrak ko bhamp kar ya jarhana andaz zahir karne ke liye magarmach awaz nikalgte hain in ki quwat-e-samat bohagt tez ghoti hai. Dunya ki aksar countries mein magarmach ka shikar karne par pabandi hai in ki parwarish jitarati pemanay par ki jagti hai in ki khal ko rang kar chamray ki masnuwat jesa ke jotay aur beg banaye jatay hain amooman woh pani jo meetha nahin hota un mein aur darya-e-nile ke magarmachon ki business ke liye parwarish ki jati hai.

Jisamat: Iqsam ke aitbar se in ki jisamat bhi farq hoti hai khuch mehaz aik meter 5 meter aur 1200 kilo wazni ho sakte hain sub se lambe crocodile ke do saboot milte hain donon hi 20 foot lambe thay pehle ki measurement us ki jisamat se aur dusre ki us ki khal se ki gyi thi insani qaid mein sub se bara magarmach 6 meter lamba tha jis ka wazan 1114 kilo se zayada tha.

Agar of Crocodile:
magarmach ki umar janne ka kloi musadqa tareeqa nahin hai taham mukhtalif tor par is ki janch pargtal ki jati hai aik tarika mein in ke dant aur hadiyon par mojood dairon ko gina jata hai. Har daira jismani barhotri ke aik waqfay ko zahir karta hai jo amooman saal mein aik hi baar hoti hai aik magarmach ki age ka andaza 70 saal lagaya gya hai jabkeh 100 saal se zayada shayed koi magar ho.

Insan Ko Lahaq Khatrat: Bari nasal ke magarmach insanon ke liye intihai khatarnak hote hain taham ye khatra aisa nahin ke magarmach insan ke pechay dorta hai balkeh khatra ye hai ke crocodile insan ke harkat karne se qabal hi war kar sakta hai. Kharay pani aur darya-e-nile ke magarmach har saal senkron insani janon ke zaya ka wajah hain.

Crocodile Se Bani Masnuaat: Crocodile ki khal se amooman purse, belt, hat aur shoes bantay hain.

tags: history of crocodile in hindi, crocodile essay in urdu magarmach par mazmoon
logoblog

Thanks for reading Crocodile Information In Urdu Magarmach History Crocodile Essay In Hindi & Urdu

No comments:

Post a Comment