Albania History In Urdu Albania Information Albania In Hindi Tareekh Aur Saqafat

  Lal Gulab      
Albania History In Urdu - Albania ka pura name jamhooria Albania ('Republika e Shqipërisë') hai. Ye janoob mashriq europe ka aik mulk hai yahan 17% se zayada log Muslim hain aur yahan naam ki jambhuriyat hai.

Albania Ki Tareekh Aur Saqafat (Culture): Albania mein zamana qabal az tarikh mein bhi abadiyan mojood thien qadeem abadi zayada tar alreyan qabail par mushtamil thi. Baad mein uanani tehzeeb ke asar-o-rasookh ke zayada hone ke waqt unani qabail bhi shamil ho gye. 4th century qabal masih mein albania ke badshah ne Macedonia se aik bari jang ki magar Macedonia par qabza karne mein nakam raha. Is ke baad alriyan qabail ke kayi badshah guzray jin mein akhri ko Sikandar ne shikast de dill. 229 qabal masih mein Albania ki Malika ne roomi fauj se jang shuru ki jo kayi wars ki wajah bani jis ke natijay mein 168 qabal masih mein roomi fauj ne unhain mukamal shikast de kar alriyan qabail ke iqtidar ka khatma kar diya. 1460 mein saltanat usmania ka hisa bana is ki tausee mein sub se zayada rad-e-amal albania ke logon ki taraf se tha jinhon ne sub se barh kar un ka muqabla kiya aur baznateeni saltanagt ke tamam alaqon ke akhir mein saltanat usmania ka hisa bana magar dilchasp baat ye hai ke yehi woh khita hai jis ne Islam ka sub se zayada asar qabool kiya aur aaj ye bosnia ki tarah europe ka Muslim aksariyat wala mulk hai.
Jadeed Albania: 1912 mein istamari sazishon ke natijay mein saltanat usmania ke tukray ho gye tou 500 saal ke baad 28 november ko Albania azad mulk ban gya. Istamar ne 1912 mein Albania ki hadood ko is tarah se qaim kiya ke bohat bari tadad mein Albania ke log (people) apne parosi mulkon ka hisa banay. 1914 mein baaz taqatwar maghribi aqwan ki madad se albania ke unani nasal ke eesai logon ne Albania ke aik cghotay alaqay mein aik khud mukhtar hukumat bhi qaim ki magar ye sazish pehli jang azeem ki tabah kariyon ki wajah se panap na saki aur 1920 mein Albania ne khud aik jamhooria qarar de diya. Germanon ne 1943 mein Albania par qabza kar liya aur paish kash ki ke woh Albania ko aik azad magar ghair janibdar mulk (country) qarar dene par tayar hai. 28 november 1944 tak Albania ki goreela afwaj ne Albania ke beshtar hison ko Germanon se azad karwa liya aur ye aik hi waqia mashriqi european qaum ka aisa tarikh mein milta hai jis ne Rus ki madad ke baghair azadi hasil ki thi.

Ishtarakat Ka Ghalba: Rus ke barhtay hue asar ki wajah se Albania aik istaraki mulk ban gya aur is ka bara jhukao Rus ki taraf raha magar 1960 se Albania ne Cheen ke sath bhi qareebi taluqat barhana shuru kiye. 1990 ki dahai tak mashriqi europe istiraki ragha jub taqreeban tamam masghriqi europi qaum istirakiat ke ghalba se azad hue tab hi maghribi mumalik ko albania ko ishtirakiat ke asar se azad karne mein koi dilchaspi nahin thi kyoun ke wahan ke beshtar log Musalman thay.
logoblog

Thanks for reading Albania History In Urdu Albania Information Albania In Hindi Tareekh Aur Saqafat

No comments:

Post a Comment