Maldives History In Urdu Maldives Information Maldives Tourism In Urdu Hindi

  Lal Gulab      
Maldives History In Urdu -  Maldives ya Maldeep jazair par mushtamil aik riyasat hai jo beh-e-hind mein hai ye bharat ke jazair Lakshadweep ke janoob mein sri lanka se taqreeban 700 janoob maghrib mein hai. 26 marjani chitanain aik aisay khitay ko tashkeel deti hain jo 1192 chotay jazeeron par mushtamil hai jin mein se taqreeban 200 hi aisay hain jin par insani abadi mojood hai. Maldives ka capital (rajdhani) Male city hai jahan puray mulk ki 80% abadi qayam pazeer hai yahan ke zayada tar log Musalman hain.


Name - Naam: Maldives meaning hai "Pahari Jazeeray" (Tamil mein malai ka matlab pahar hai) ya phir maldives ka matlab "Hazaron Jazair" hai. Chand mahireen ka manna hai ke Maldives ka lafz Sansacrit ke lafz sanskrit ke lafz Maladeepwa se nikla. Chand mahireen isay Arabic ke lafz mehal se nikla hua lafz qarar detay hain.

History of Maldives In Urdu: 1153 mein Islam se ashna hua aur 1887 mein bartanya ki nau abadi bana 1965 mein Maldives ne bartania se azadi hasil ki aur 1968 mein isay jamhooria qarar diya gya. Halankay 40 years mein mehz chand 2 afrad hi sadoor qarar paye. Maldives abadi ke lihaz se asia ka sub se chota mulk hai. Ye sub se chota Muslim aksariyati mulk bhi hai. Islam taqreeban tamam abadi ka bazabta mazhab hai jabkay qaumi aur aam zuban dhivehi hai jo hind europi zubanon se taluq rakhti hai.

Government System - Nazam Hukumat:
Mulk mein sadarati nazam hukumat mojood hai parliament sadar ko namzar kartgi hai aur maldives ke shehri vote ke haq se tauseeq kartay hain aur 4 saal ke liye muntakhib hota hai. Parliament ko majlis kaha jata hai jis ke kul 54 members hotay hain jin mein se 8 namzad karta hai baqi ko voters muntakhib kartay hain aur 8 members Male shehar se muntakhib hotay hain degar 38 ko 19 izla se muntakhib kiya jata hai.

Seyahat Maldives Tourism In Urdu: Seyahat ya siahat ke hawalay se maldeep dinya bhar mein mumtaz muqam rakhta hai. Maldives economy tourism ke ilawa mahi geeri par inhsar karti hai. Jahaz sazi, bankari aur sakht giri ke shoba jaat bhi achi raftar se barh rahe hain. Janoobi asia ke mulkon mein Maldives dusre darjay par sub se zayada GDP ka hamil hai.

Geography of Maldives in Urdu: Maldives dunya ka sub se spogt tareen mul hai aur us ki zayada se zayada zameeni sagtah sirf 2.3 meter hai. Guzashta aik sadi mein samandaron ki satah mein 20 centimeter (8 inch) izafa hua hai samandar ki satah mein barhtay hue izafay ne maldives ki baqa ko khatray mein mubtala kar diya hail. 2004 mein behar-e-hind mein anay wale tsunami ne maldives ko bhi lapait mein liya tha aur mulk ke kayi areas samandar ke pani mein doob gye thay.
logoblog

Thanks for reading Maldives History In Urdu Maldives Information Maldives Tourism In Urdu Hindi

1 comment: