Bhutan History In Urdu Bhutan Information Hindi Bhutan History & Culture

  Lal Gulab      
Bhutan History In Urdu - Bhutan janoobi asia ka aik chota aur aham mulk hai bhutan ka culture dusre mulkon se bilkul alag hai ye mulk cheen aur bharat ke darmiyan waqia hai. Bhutan ka muqami naam dark you hai, jis ka matlab hota hai dragon ka mulk Bhutan country bunyadi tor par pahari alaqay par mushtamil hai sirf janoobi hisa mein thori si hamwar zameen hai. Saqafat aur mazhabi tor se tibet se munsalik hai, lekin geography aur siasi halaat ke paish nazar is waqt ye mulk bharat ke qareeb hai.

Name:
Khuch logon ke mutabiq bhugtan sanskrit ke lafz se bana hai jis ka lagfzi magtlab hai aunchi zameen is ke ilawa bhi is mulk ke bohat se naam hain.


Country Bhutan Ki Tareekh Aur Maloomat:
17th century ke akhir mein Bhutan mein bugdh logon ki aksariyat gthi. 1865 mein bartania aur bhutan ke darmiyan sanchal agreement par dastkhat hue jis ke teht bhugtan ki khuch sarhadi zameen ke hisa ke badlay khuch salana funding ke agreement kiye gye. Bartanwi asrat ke teht 1907 mein wahan shahi nazam ki tashkeel hoi. 3 saal baad aik aur agreement hua jis ke teht Bartanwi is baat par razi hue ke woh bhutan ke androoni mamlat mein dakhal andazi nahin karain gey lekin bhutan ki foreign policy bartania ki taraf se tay ki jaye gi baad mein 1947 ke baad yehi kardar bharat ko bartania ki taraf se mila. 2 saal baad 1949 mein bharat bhutan agreement ke gteht bharagt ne bhutan ki woh sari zameen usay laugta di jo angreezon ke qabzay mein thi is agreement ke gteht bharat ka bhutan ki kharja policy aur difai policy mein kafi aham kardar raha.

Bhutan Powerhouse: Dungya ki nazron se ojhal rehne wali hamaliya ki choti si riyasat bhutan mein 1999 tak mehaz aik chothai se bhi kam gharon ko bijli dastyab thi lekin aaj pan bijli is riyasat ki sub se bari dar amad hai. Bhutan pani se bijli paida karne wala aik masali mulk hai yahan mojood daryaon se faida uthatay hue is riyasat ne hydropower na sirf mulk ke door daraz alaqon gtak pohancha di hai balkay isay baramad bhi kar raha hai yahan ki hukumat ko umeed hai ke sadi ke akhir tak bijli ki baramad is ki majmoi qaumi paidawar ke nisf tak pohanch jaye gi. Mausam garmi mein monsoon ki barishon ke sabab jub Bhutan ke tamam darya pani ki satah se buland hogtay ahin tou bijli mulk ki zaroorat se zayada hoti hai is surat mein bijli sale kar di jati hai jis ka sub se bara klhareedar bharagt hai.

tags: bhutan history in hindi, bhutan information in hindi
logoblog

Thanks for reading Bhutan History In Urdu Bhutan Information Hindi Bhutan History & Culture

No comments:

Post a Comment