Nelson Mandela History In Urdu Nelson Mandela Information Nelson Mandela Biography Hindi

  Lal Gulab      
Urdu Essay Nelson Mandela Essay In Hindi
Autobiography of Nelson Madela History In Urdu - Nelson Mandela (paidaesh (born) 18 july 1918 janoobi africa) Janobi Africa ke sabiq aur pehle jamhoori muntakhib sadar hain jo 1994 se 1999 tak muntakhib rahe. Sadar muntakhib honay se pehle tak Nelson Mandela apne mulk mein nasli imtiaz ke katar mukhalif aur Afreeqi National Congress ki fauji tukri ke sarbarah bhi rahe. Janoobi Africa mein sayah famon se bartay jane wale nasli amtiaz ke khilaf unhon ne tehreek mein bharpur hisa liya aur janoobi africa ki adalaton ne un ko mukhtalif jaraim jese tor phir, civil nafarmani aur dusre jaraim ki padash mein qaid ki saza sunai thi. Nelson Mandela is tehreek ke doran lagaye janay wale ilzamat ki padash mein taqreeban 27 saal qaid rahe thay unhain jazeera robin mein qaid rakha gya tha. 11 february 1990 ko jub woh riha hue tou unhon ne pur tashadad tehreek khair bad keh kar muzakratg ka rasta apnanay ka faisla kiya jis ki bunyad par janoobi africa mein nasli imtiaz ko samajhne aur is se chugtkara hasil karne mein madad hasil hoi.

Nasli imtiaz ke khilaf tehreek ke khatmay ke baad nelson mandela ki tamam dunya mein pazeerai hoi jis mein un ke mukhalif bhi shamil thay.  Aaj Nelson Mandela janoobi africa aur tamam dunya mein aik tehreek ka naam hai jo apne tor par behtari ki awaz uthanay mein mashoor hai. Nelson mandela ki 4 dahaiyon par mushtamil tehreek aur khidmat ki wajah se 250 se zaid inamat se nawaza gya jin mein sub se qabil zikar 1993 ka nobel prize baraye aman hai. November 2009 mein aqwam-e-mutehda ki general assembly ne 18 july nelson mandela ki tareekh paidaish ko dunya mein aman aur azadi ke parchar ke silay mein youm-e-mandela yani mandela day ke tor par mananay ka elan kiya.

Unhon ne government ke mamlat apne naib ko sompay aur khud janoobi africa ki nai international sakh bananay mein masroof ho gye aur unhon ne mulk mein mojooda international adaron ko wahin rehne aur sarmaya kari karne ke liye qail karne mein kamyabi hasil ki. Unhon ne apni 80th salgirah (birthday) par aik sabiq sadar ki bewa se shadi ki aur apni baqaida retirement ke baad woh zayada tar awami ijtimat mein apne falahi adaray mandela foundation ke liye kaam karte rahe aur 89th birthday par dunya ki numayan personalities par mushgtamil qaim kiya. Unhon ne 2010 ke football ke world cup ki mezbani janoobi africa ko dilwanay mein aham kardar ada kiya. Nelson Mandela ki death par lakhon janoobi afreeqi bashindon ke ilawa dunya bhar ke awam ne afsoos ka izhar kiya aur un ki rehaesh gah ke bahir aik bara hujoom duain karta raha aur almi renumaon ne bhi afsoos ka izhar kiya. Nelson Mandela ka safar is baat ka saboot hai ke insan aur mumalik behtari ke liye tabdeel ho saktay hain.

tags: life history of nelson mandela, nelson mandela biography in urdu, nelson mandela information in urdu
logoblog

Thanks for reading Nelson Mandela History In Urdu Nelson Mandela Information Nelson Mandela Biography Hindi

No comments:

Post a Comment