Sibi History In Urdu Sibi Mela Information Sibi Pictures Saqafat Culture

  Lal Gulab      
History of Sibi in Urdu:

Sibi City Information: Sibi aik garam tareen shehar hai is ki tareekh batati hai ke ye shehar saqafat ke lihaz se bohat ameer hai sibi shehar ki tareekh ka andaza is baat se laga lain ke yahan par 300 saal guzar janay ke bawajod aaj bhi mela munaqad hota hai jisay sibi mela ke naam se jana jata hai. Sibi ki abadi 1999 mein taqreeban 2 laakh ke qareeb batai jati thi aur 2005 mein ye barh kar 3 lack aur 50000 tak ja pohanchi thi. Sibi ka raqba 7796 muraba km hai.

Sibi Weather In Urdu: Amooman sibi ka mausam garam rehta hai agar kaha jaye ke mulk mein sub se zayada garmi isi sibi shehar mein parti hai tou ghalat nahin yahan darja hararat garmiyon mein 50 centigrade tak bhi pohanch jata hai.

Sibi Mela History: Sibi mela subay ka sub se bara awami saqafti mela hai aur mulk ka dusra bara mela hai. Shuru mein is melay mein tamam nawab, sardar mil baith kar apne apne jhagron aur ranjishon ka rasm o rawaj aur qabaili rawayat ke mutabiq mil baith kar tasfiya kiya karte thay. Sibi maweshi mela taweel arsa ruka rehne ke baad 1947 mein quaid e azam ki hidayat par dobara shuru kiya gya tha jo ke har saal baqaedgi se munaqad kiya jata hai. 

Melay mein mulk bhar se hazaron log shirkat karte hain. Mulk bhar ke maweshi malkaan apne janwar melay mein lay kar atay hain, sarkari adaron ki taraf se stalls bhi lagaye jatay hain, melay mein janwaron ki numaesh, zarai stalls, baloch saqafat ko ujagar karne ke liye dastkari aur degar stalls bhi nazar atay hain. Kashtkaron ko muft mashwaray bhi diye jatay hain aur janwaron ki mandi bhi lagai jati hai. Melay mein ghoray ki dhor, motor cycle jump ke muqablay bhi munaqad hotay hain aur shandar atishbazi bhi ki jati hai jisay hazaron log pasand kartay hain.

Sibi Mela Video by Ali domki

Sibi Pictures
logoblog

Thanks for reading Sibi History In Urdu Sibi Mela Information Sibi Pictures Saqafat Culture

No comments:

Post a Comment