Mahmood Ghaznavi History In Urdu Mehmood Ghaznavi Quotes In Urdu

  Lal Gulab      
Mahmood Ghaznavi History In Urdu - Ghazni mein aik musalman tark badshah ne Hindustan par lagatar satra hamle kiye aur har bar Fatah o nusrat ne is ke qadam choome. wo qalb hind aur gujrat ka nahyawar mein hajera arab ke sahil tak ja puhuncha magar us ne apni saltanat ko lahore hi tak mehdood rakha. Ye sabktageen ka beta mehmood ghaznawi tha jis ke karnamon se tarekh ke sifaat mazen hen.

Mahmud 971 mein paida hua 6 baras ka tha ke iska baap ghazni ka badshah bana. 15 saal ki umer mein baap ke sath jangon m shareek hone laga aur iski bahaduri aur juraat ke charche hone lage. chunacha sabktageen ne isko khirasaan ka hakim bana kar bhej diya. taleem nihayat umda pai thi, faka, hadees, tafseer ki kitaben parhen aur Quran majeed hifz kiya. ibtadai umer mein faka per khud ek kitab bhi likhi.

Shumali hind ka raja je paal sabaktageen ke zamane mein do dafa ghazni par hamla karchuka tha. jab mehmood 26 saal ki umar mein baap ka janasheen hua to je pal ne tesri dafa hamla kardia. mehmood ne isko sakht shikast di aur giraftar krliya. raja ne bare wade waeed kar ke rehai hasil ki.

Sultan Mehmood Ghaznawi ek sepah salar aur fateh ki hasiyat hi se nhn balke elam o fan ki sar parasti ke aitbaar se be nazeer hukmran tha. bare bare aalim aur shaer is k darbar mein moojod the. firdosi ki sar parasti kar ke is ne shahaname ki takmeel karai. ghazni mein bare bare madarse qaem kiye. ehle elam ki imdad par lkhu rupiyaa salana sarf karta. wo nihayat naik dil musalman tha. is ne kisi ko jabran musalman nahin banaya aur kisi ko maidan e jang ke bahir qatal na kiya. 1022 mein mehmood ghaznawi ne punjab ko apni saltanat mein shamil karliya. 1026 mein somnaat fatah kiya aur 1030 mein 59 saal ki umer pa kar intikaal kar gaya. ghazni ke mojooda kasbe se teen meel bahir iska makbara hai.
logoblog

Thanks for reading Mahmood Ghaznavi History In Urdu Mehmood Ghaznavi Quotes In Urdu

No comments:

Post a Comment