Khuzdar History In Urdu Khuzdar Picnic Points Khuzdar Pictures Gallery

  Lal Gulab      
Khuzdar History In Urdu:

Information: Khuzdar aik aham aur khubsurat shehar hai is ki hadood mein zamana qabal-e-tareekh kayi abadiyan hain. Muslim door ki ibtidai fatuhaat ke hawale se likhi jane wali tasaneef mein Khuzdar ka naam tawatar se aata hai. Yahan ki zameen bari zarkheez hai kyoun ke idhar anaar aur angoor jesay phal paida hotay hain yehi wajah hai ke ye shehar apni shadabi aur angooron ki kasht ki wajah se Arab logon ke dilon mein ghar kar gya.



Population of Khuzdar: 1994 mein alag zila ka darja diya gya is khuzdar ki abadi taqreeban 2007 mein 526111 ke qareeb thi.

Picnic Points In Khuzdar: Beautiful Places To Visit In Khuzdar:
Khuzdar mein picnic ke liye bhi kafi places hain jin mein Sasol, Chatok, Karkh jese alaqay hain. Ye sarzameen itni haseen hai ke yahan beshumar alaqay aisay nazar ke samne atay hain jo humain sochne par majboor kartay hain ke zindagi khubsurat se bhi kahin agey hai, ye qudrat ka azeem ehsan hai is mulk par ke yahan bohat se dilkash nazaron se bharay hue alaqon ka ail guldasta mojood hai jin mein sasol bhi isi khubsurat guldastay ka aik phool hai.
 Sasol: Isay Sasool bhi likha jata hai sasol khuzdar se taqreeban 30 km door mashiq ki taraf aik tourist point hai yahan kafi aisay muqamaat hain jahan par acha waqt guzara ja sakta hai sasol mein aksar log garmiyon mein jatay hain yahan shafaf pani muyasar hai.
logoblog

Thanks for reading Khuzdar History In Urdu Khuzdar Picnic Points Khuzdar Pictures Gallery

No comments:

Post a Comment