Gwadar Port Importance In Urdu Gwadar Port Essay In Urdu Gwadar Bandargah

  Lal Gulab      
Gwadar Port Essay In Urdu: 

Importance of Gwadar:
Janoobi Asia ke mulkon aur maghrib bhi is haqeeqat se achi tarah agah hain ke Gwadar Port is khitay ke liye kitni ahmiyat rakhta hai. Darasal ye janoobi asia ke liye wahid wakhli darwaza hai. Jo is khitay ko ghair mulki tijarat se marboot kar sakta hai. Is ahmiyat ki wajah se Pak ne is port ki takmeel ka kaam cheen ki madad se karne ka faisla kiya jab ke Usa khawahishmand tha ke is port ka control us ke pass ho.Pakistan ke inkar par inmulkon ne is subay mein halaat kharab banane mein koi kasar utha na rakhi yahan tak ke Pak Cheen dosti mein bhi rakhna dalne ki koshish ki. Baloch suba apne qudrati wasail ki wajah se hamare mulk ke liye sonay ke andon ki haisiyat rakhta hai Gwadar ki bandargahain Pakistan ke ilawa cheen aur wust asiyai mulkon ke istemal mein ayain gi jis se Pakistan ko kafi zayada mehsool hasil ho ga. Ye bandarga mulk ke maghrabi hisay mein hai is mansoobay par cheen ki harbour company ke mahireen ne kaam kiya. Ye bandargah 14 km taweel gehre pani par hai jis wajah se ye baray behri jahazon ki amdoraft ke liye behtareen hai is wajah se mustaqbil mein yahan tijarat ki mazeed rahain khul jayain gi aur ba'asani oil aur dusri cheezon ki naqal-o-hamal ho sakay gi. Mashriq aur maghrib ko janay wale un jahazon ke liye bhi qayam aur guzargah ki sahulatain faraham hon gijo is waqt dubai, saltanat muscut, aur oman ki bandargahon se guzartay hain aur qayam karte hain.


Aik agreement ke teht Gwadar ki bandarga ka mukamal intizam cheen ke hawale kar diya gya hai, taham is ki malkiyat Pakistan ke paas hi rahe gi. Agar Gwadar ki bandargahon ne darust toor par kaam shuru kar diya tou Pakistan aur Cheen bohat jald dusre mulkon se garam paniyon ki hukamrani cheen lain gey. Is waqt oil ki tarseel ka zayada kaam jo russia ki bandargahon se kiya jata hai woh bhi us se chin jaye ga, jabkeh dusri taraf bharat ki madad se bannay wali Irani bandargah ki ahmiyat bhi kam ho jaye gi. Is tamam surat hal ke baes cheen, bharat aur degar europe aur asia ke mulkon ke liye ye suba intihai ahmiyat ka hamil ban gya hai. Usa ke is khitay mein do maqasad hain, aik wust asia se tawanai ka hasool, dusra cheen aur iran ke khilaf ghera tang karna woh janta hai ke agar us ka hamare mulk par ghera tang ho jata hai tou na sirf is subay ki madniyat us ke control mein asakti hain aur gwadar ki surat mein usay puri dunya ka gateway bhi mil jaye ga. Cheen hamesha gwadar ko Pak ki civilian bandargah kehta hai. Cheen ne gwadar mein bohat bari sarmaya kari kar rakhi hai.

Janoobi samandaron tak rasai Rus ka purana khwab hai, isi maqsad ke liye woh Afghan sarzameen par qabaz hua tha takeh gwadar ke rastay garam paniyon tak pohanch kar wust asia ki daulat ko cash karwa sakay. Jahan tak khitay mein bharat ka kardar hai tou woh samajhta hai ke mustaqbil mein gwadar ki bandargah ke zariye Pakistan aur Cheen ki is khitay par ajaradari qaim ho jaye gi, is liye woh Pakistan ko kisi qisam ka koi chance dene ko tayar nahin ho ga. Gwadar ki ahmiyat ka andaz in sari baton se khoob hota hai Khuda is mulk ko hasadon se mehfooz rakhay Aameen.
logoblog

Thanks for reading Gwadar Port Importance In Urdu Gwadar Port Essay In Urdu Gwadar Bandargah

No comments:

Post a Comment