Gujjar Caste History In Urdu Gujjar Family Gujjar Information Tareekh

  Lal Gulab      
Gujjar Caste History In Urdu: Gujjar aik qaum ka naam hai jo bar-e-sagheer mein door door tak abad hai jo 6th sadi eeswien mein bar-e-sagheer mein aye thay. In ki jismani khasoosiyat zahir karti hain ke ye khalis hind ariyai nasal se taluq rakhte hain. Gujjaron ka taluq hanuon se tha ye un ke baad bar-e-sagheer mein aye thay aur unhon ne rajputana ka bara hisa fatah kar liya aur kayi sadiyon tak bar-e-sagheer ki tareekh mein aham kardar ada karte rahe. Gujjar shumali hind mein 550 eeswien ke qareeb safaid janon ke sath ya un ke baad dakhil hue thay.


Ali Hasan Chohan ne "Tareekh Gujjar" mein likha hai ke ye kashtari hain jo baad mein gujjar kehlanay lagey is mein suraj hansi, chandar bansi aur rathod ko bhi gujjar kaha gya hai magar in qaumon ne kabhi gujjar hone ka dawa nahin kiya aur na hi gujjaron ne kabghi in qaumon se apna nasli taluq hone ka dawa kiya hai.

Gujjar Population: Gujjaron ki abadi ka door door tak muntashir hona is baat ki daleel hai ke un ki farmanrawai ki daira kis qadar wasi tha. Gujjar baishtar galah banon ki aik qaum thi jo jang o paikar ki dildada thi aur aaj kal bhi gujjaron mein ye rujhanat paye jatay hain. Hind ke intihai shumali maghrabi hisa khas kar kamgrah ke paharon ke beroni kinaron tahaal tahaal gujjar khana badosh charwahon aur galah banon ki zindagi basar kar rahe hain. In ke naam par shumali maghribi bar-e-sagheer mein bohat si bastiyan aur shehar abad hue jo ab tak mojood hain.

Is qaum ne apni riyasat koh aabo ke qareeb bhatmal mein qaim ki thi is khandan ki aik aur shakh baroch ne aik aur riyasat qaim ki thi jo un ke naam se baroch kehlai. Aik aur shakh oonti ke naam se samne ayo is khandan ne arbon ko jo gujjaron ke alaqa par raj kar rahe thay roka. in donon khandanon mein baladasgti ke liye jang hoi jis mein oonti khandan ko kamyabi hoi aur un ko apne apne taqatwar parosiyon se jang karni pari par is qaum ne apne dushmanon ko hara kar khoye hue alqay dobara hasil kar liye.
logoblog

Thanks for reading Gujjar Caste History In Urdu Gujjar Family Gujjar Information Tareekh

No comments:

Post a Comment