Pollution Essay In Urdu Environmental Pollution Noise Air Water Pollution Mahol Ki Alodgi

  Lal Gulab      
Environmental Pollution Essay In Urdu - Mahool Ki Aloodgi Speech

Air Pollution: Jaise jaise insani abadi mein izafa horaha hai waise waise duniya mein masail ka bhi izafa hota ja raha hai. Traffic ka shoor, gariyon se nikalnay wala dhunwan, factories se kharij hone wala zehrela mada fiza mein phail kar aludgi ka sabab ban raha hai isay angeezi zuban mein air pollution kehtay hain.

Noise Pollution: Phir sarkon par be panah traffic aur gariyon ka shoor na sirf ye ke insani sehat ko buri tarha mutasir kar raha hai balkeh insani samaat ke liye bhi ye shoor intehai khatarnak sabit hua hai. Phir mazed system safai ke nakis intezam ki wajah se paida ho raha hai, har taraf gandagi ke dhair insani sehat par buri tarah asar andaz ho rahe hein. Yahi waja hai ke mahol ki alodgi ke sabab bemariyon ka tanasub pehle ke muqable mein behad zayada ho chuka hai. Isi tarah insani zindagi ko had darjah khatrat hein.

Environmental Pollution: Agar insani abadi be tahasha na barhe, agar insani khuwahishat la mehdud na hon, agar insan apni karwaiyon ke musbat aur mufi pehlu par nazar rakhe. Apne karname ke asrat ka pehle se adrak karle aur tawazun ko hath se na jane de to yakenan maholiyati aludgi se bacha jasakta hai. Kehne ko insan Ashraful makhlukat hai lekin apni sargarmiyon se hum apne ashraf hone ka saboot nahin de rahe hum jahan rehte hein wahin gandagi phailate hein is tarah hum insani hayat aur dusre jandaron ke liye bemariyon ka mojib banta hai. Zaroori wasail ko kum hota dekhte hein aur mustaqbil ki nahin sochte to mahol ke sath hi nahin, khud apne sath bhi hum dushmani kar rahe hein.

Islam deen fitrat hai jo qudrati wasail ke jaiz istamal par zor deta hai. Lekin iski ijazat nahin deta ke in wasail par kisi aik makhloq ki ijaradari qaim ho. Islam ne insan ko miyanarawi, tawazan aur aitadal ki jo rah dikhai hai, agar hum is ko paish nazar rakhen aur apni chadar se zayada paon na phailaen to hum yaqenan mahool ki aloodgi aur wasail ki kami par kabu pa sakte hein.

Insan ko sans lene ke liye taza hawa, pene ke liye saaf pani aur khane ke liye achi ghiza chahye. Tibi, talemi, aur rehaeshi sahulatein insan ki bunyadi zaruriyat hein aur mahol ko saf suthra rakhna insani sehat ke liye buhat zaruri hai. Chunacha in maqasid ke hasool ke liye zaroori hai ke mahol par jo munfi asrat maratab hue hein, in ka azala kiya jaye aur mahol ko har tarah se insani zindagi ka mawan banaya jaye ghar saf suthre hon. Darakht kasrat se lagae jaen aur kaam ijtamai aur infaradi tor par zimedari se kiya jaye.

Zarurat is bat ki hai ke mahol ko saf suthra rakhne ki ehmiyat se har pakistani khud bhi agha ho aur dusron ko bhi batae, har shakhs maholiyati masail mein dilchaspi le is tarah hum mahol ko saf suthra rakh sakenge aur apni aur apne azizon ki sehat o salamati ki hifazat kar sakenge. Is tarah karne se insan ka apna faida hai aur youn wo aik sehatmand aur mazbut muashrah parwan charhane mein madadgar sabit ho sakte hein aur bare paimane par insaniyat ki bhalai ka mojab ban sakte hein. Aiye hum ehad karen ke hum apne mahol ko saf rakhne mein yakenan eham kardar ada karain gey.
logoblog

Thanks for reading Pollution Essay In Urdu Environmental Pollution Noise Air Water Pollution Mahol Ki Alodgi

No comments:

Post a Comment