Co Education Essay In Urdu Speech Co Education Advantages Disadvantages Makhloot Taleem In Islam

  Lal Gulab      
Co Education Essay In Urdu - Makhloot Taleem Mazmoon: (speech)

Larkay aur larkiyan ikathay kisi darsgah mein taleem hasil kartay hon tou is tareke ko makhloot taleem ya co-education ka naam dia jata hai. Taleem ke mutaliq bohat se masail hal talab paray hain. Ye masla bhi ek qaumi masla hai. Jis ko hal karna bhi nihayat zaroori hai. Abhi tak hum taleem niswan ka masla hi hal nahin kar sakay. Aik tabqah ka khayal hai ke jo taleem larkon ko di jati hai wohi larkiyon ko deni chahiye. Dusre tabqe ki raye hai ke larkiyon ko sirf aisi taleem dena kafi hai jis se wo ghar ki zumaidari sambhal sakain aur apne faraiz ghar ke andar hi sar anjam de saken. Khuch log maghrib pasand hein khuch mashriq pasand sab ki apni apni raye hai.

Co Education Advantages In Urdu: Makhlot taleem bhi aik qoumi masla hai is ke mutaliq bhi mukhtalif raye hain. Azad khayal logon ka nukta nazar hai ke larkon aur larkiyon ko ikhate taleem dene mein koi harj nahin balke is mein buhat faide hein. Hamara mulk aik gareeb mulk hai aur alag alag darasgahon ke akhrajat ka mutahmil nahin. Wo kehte hein ke mil jul kar azadana taleem hasil karne se manfi jazbat khatam hojate hein aur sakoon ke sath hasool taleem ka kaam jari rehta hai. Larke aur larkiyon ko ek dusre ko samajhne ka achi tarah se moqa milta hai. In ki bahami jhijhak bhi door ho jati hai. Aur bohat se ikhtalafat khatam ho jate hein. Larkiyon mein jurat paida ho jati hai jo amli zindagi mein mufed sabit hoti hai. Un mein mardon ke shana bashana kaam karne ki salahiyat paida ho jati hai. Larkiyan koshish karti hein ke hum larkon se qabil tar ban kar dikhaen aur larke ye khayal karne lag jate hein ke agar larkiyan hum se age nikal gaen to hamari is mein beizati hai. Lehaza larke larkiyan khoob mehnat karte hein. Muqablay ke imtihanaat mein asani se kamyabi hasil kar sakte hein. Jo log makhloot taleem ke haq mein hein wo ye kehne mein kisi had tak apne ap ko darust samajhte hein ke fi zamana sirf mard hi kaam kare to sare kumbay ka guzara mushkil ho jata hai. Aur agar is mein aurat bhi sharek ho tou bohat had tak bojh halka ho jata hai. Zindagi asani se guzarti hai agar mard aur aurat dono kamayien to is waqt dushwari ka samna nahin karna parta aur is tarha zindagi zayada khushgawar guzarti hai.

Co Education Disdvantages In Urdu: Dusri taraf wo log hein jo makhloot taleem ke haq mein nahin hein. In ka khayal hai ke makhloot taleem se masail paida ho jate hein. Insanon mein waqt ki koi pabandi nahin ye har mausam aur har waqt mein azad hein sirf asool pasandi aur haya hi in ko paband rakh sakti hai.

Zamana taleem naujawani ka zamana hota hai is mein ehsaas zumedari aur naiki aur badi ki tameez bahat kam hoti hai aur ikathay mil jul kar rehne se jin'si hejan ko qabu mein rakhna bohat hi mushkil kaam hai. Jab ke maher colleges ki fiza mein ikhlaqi aur mazhabi kiyud bhi kum hon har talib ilam apne aap ko azad samajta hai yahan tak ke aksar khudsari ki had tak puhnch jata hai. Wese to hidayat hasil karne wale ke liye buri chez mein bhi hidayat mil jati hai. Magar in ka andaz fikar aksar musbat nahin hota. Is liye be rah rawi ke zayada imkanat hote hein aur jab larke larkiyon mein azadana mail jol hoga to is ke asrat zayada bure hotay hain.

Co Education In Islam: In logon ki raye hai ke aurat sirf aurat ki hi zimaydariyan char dewari ke andar reh kar hi sambhal le to theek hai. Wo kehte hein ke mard aur aurat ke jism mein mukhtalif salahiyatien hein. Mard mehnat ka aadi aur mushkilat ka muqabla karne ke qabil hota hai. Aur aurat ka nizam naram o nazuk aur is tarah ka banaya gaya hai ke wo bache ki parwarish karne ke qabil ho. Aik maa shab o roz mein se aik lamha ke liye bhi bache se pyar o muhabat kiye bagair nahin reh sakti aur is tarah se bache ke liye qudrat ne is ki parwarish ka sahi intezam kardia hai. Un ka khayal ye bhi hai ke Islami nukta nazar se bhi mukhlot taleem ka tareeqa ghalat hai. Is mein larkiyon ko be parda rehna parta hai aur is tarah se be hayai barhti hai aur muashra kharab ho jata hai.
logoblog

Thanks for reading Co Education Essay In Urdu Speech Co Education Advantages Disadvantages Makhloot Taleem In Islam

No comments:

Post a Comment