Sargodha History In Urdu Sargodha City Information Sargodha Ki Tareekh

  Lal Gulab      
Sargodha History In Urdu:

Sargodha Pakistan ke mansobe ke tahat abad ya tayar hone wale teen shehron main se aik hai. Ye eik hindu sadhu ke naam par hai jo ke gol kunwa par rehta tha. Jahan dusre musafir bhi aram karte the. Aaj wahan par aik khubsurat masjid hai jiska naam gol masjid hai or es ke niche gol market hai. Angrez raj main ye eik chhotta qasba tha lekin es ki geographical importance ki waja se eik foji airport banaya gaya. Jo azadi ke bad pakistani fezai ke liye mazeed ehmiyad ikhtyar kar gaya. Sargodha phle shahpur ki eik tehsil thi lekin ab shahpur sargodha ki tehsil hai.

Halal Istaqlal:
1965 ki pak bharat jang mein bahadri ke liye yahan ke shehriyon ko halal istaqlal se nawaza gya jo in ke liye bohat fakhar ki baat hai. Isi tarah sargodha ke log bhi is par fakhar kartay hain. Jo ke unhain Pakistan ke baqi shehron se numayan karta hai. Is shehar ki zameen ko shayed isi liye bahadaron ki sar zameen kaha jata hai aur pak fazaiya ke pilots in bahadron mein aik behtareen izafa hain.

Shaheenon Ka Shehar:
1965 ki pak bharat jang main sargodha ki pak fezaiya ne bhot aham kardar ada kiya hai sargodha ke pak fezaiya ke jahazon ne bohat bahadari ke sath dushman ka kafi nuqsan kiya or sargodha se parwaz kar ke dushman ki zameen par ja kar un ke aham tanks ko tabah kar diya dushman ki taraf se sargodha pe hone wale eik hamle main pak fezaiya ne na sirf heran kun defaah kia balke pak fezaiya ke aik pilot MM Alam ne mehaz teen yan char seconds main dushman ke 4 jahaz maar garayey jo ke ek aalmi deraykar hai enho ne majmuei tor par 9 tyare mar gerae or do ko nuksan pohnchaya hai es ke elawa pak fezai ke tyaron ne ek yadgar difah kiya isi munasebat se sargodha ko shaheeno ka shehar kehte hen.

sargodha railway station
Fruits of Sargodha: Sargodha shehar ke alaqon mein paida hone wale khushbudar aur lazeez maltay sangtaray aur kino mayar aur zaiqe ke lihaz se bohat famous hain ye puri dunya mein behad pasand kiye jatay hain is wajah se bhi sargodha bohat shoshrat ka hamil shehar hai.

Kirana Hills Sargodha: Sargodha shehar se 14 km ke distance par kirana ki pahariyan shuru hoti hain jo ke jo chiniot tak jati hain in pahariyon ke daman mein aik qadeem tarikhi mandar mojood hai ye muqaam seyahat ke liye dilchaspi rakhne walon ke kafi aham hai.

University of Sargodha: Subay ki behtareen universities mein is ko shamil kiya jata hai jis ne kafi thoray waqt mein achi khidmaat sar anjaam de kar is shehar ki ahmiyat mein izafa kiya.
logoblog

Thanks for reading Sargodha History In Urdu Sargodha City Information Sargodha Ki Tareekh

No comments:

Post a Comment