Bed Bugs Home Treatment In Urdu Khatmal Marne Ka Tarika Totka For Khatmal

  Lal Gulab      
Bed Bugs Treatment In Urdu:

Bed bug yani khatmal se insan ka purana rishta hai, shehar ho ya village khatmal har jagah insan ke sath rehta hai. Bed bug aam tor par chawal ke danay ke barabar hota hai aur taqreeban 10 maheenay tak zinda reh sakta hai.

Khatmal taqreeban har ghar ka masla hain is ki wajah se raton ki neend kharab ho jati hai baaz auqat ye masla itna zayada ho jata hai le mamoolat zindagi bhi kafi mutasir hoti hai. Agar neend sahi tarah na li jaye tou har kaam karna mushkil dikhai denay lagta hai.

Khatmal ki afzaesh garmiyon ke mausam mein zayada hoti hai is maslay se nijat pane ke liye log adwyaat ka istmal karte hain lekin aksar in ke istemal se bhi koi ache nataij nahin miltay.
Khtamal Bhagane Ka Tarika: bed ki paiti ki janib ajwain ki potliyan bandhne se khatmal bhag jatay hain.

How To Get Rid Of Bed Bugs: Pehle sub windows open kar ke curtains hata lain takeh roshni aur dhoop andar aaye. Ab 2 keeray maar powder ki dabay kholain lekin khayal rahe ke pehle apne face ko achi tarah cover kar lain ab in mein laal mirch aur ajwain mila kar mitti ka oil dal kar paste bana lain.

Ab isay khidkiyon ki deewaron par laga dain aur furnuture mein nechay ki taraf bhi laga dain aur jahan aap ko lagta hai ke khatmal ho saktay hain us jagah par istmal karain.
Ab koelay ko jala kar us mein ajwain aur gandhak dal kar saray ghar mein dhuni dain, almariyon mein bhi aur har 15 din baad aisa karain is se jald bed bugs se nijat mil jaye gi.
logoblog

Thanks for reading Bed Bugs Home Treatment In Urdu Khatmal Marne Ka Tarika Totka For Khatmal

No comments:

Post a Comment