How To Clean Kitchen In Urdu Kitchen Cleaning Tips Kitchen Saaf Rakhne Ka Tariqa

  Lal Gulab      
Kitchen Cleaning Tips In Urdu:

Kitchen, ghar ka woh hisa hai jahan ghar bhar ke liye khana pakane ka aham tareen kaam anjaam diya jata hai. Agar kitchen saaf suthra ho ga tou khana bhi hifzan-e-sehat ke asoolon ke mutabiq tayar kiya ja sake ga. Is ke sath sath agar ghar ke deegar hison ki tarah kitchen araesh-o-zaybaish aur khush tarteebi ki taraf bhi tawajah ki jaye tou sonay par suhaga wali masal ho gi. Kitchen saaf karne ka tarika aap ko asaan lafzon mein bataya ja raha hai jo ke mandraja 10 asoolon par mushtamil hain.

 Kitchen Khubsurat Rakhne Ke 10 Tariqay

1: Cheezon Ko Samait Kar Rakhain: Sub se pehli baat jis ka khayal rakhna zaroori hai ke cheezon ko kitchen mein bakhair kar na rakhain. Kaam karne ke doran aur kaam ke baad aap cabnit, basket aur darazon waghera se uthai hoi cheezon ko wapas un ki jagah par rakh dain. Khana pakane ke doran istemal hone wale masala jaat ko aisi jagah par rakhain jahan aap ka hath asani se pohanch sakta ho.

2: Kitchen Sink & Kitchen Cabinet: Tamam cabinets ko hamesha saaf suthra rakhain faltu cheezain cabinet mein na rakhain. Cabinets ki sajawat ki jaye tou kitchen khubsurat dikhai deta hai is liye cabinet par aap chahain tou paintings bana lain jin mein aap art ke khubsurat namoonay paish kar sakti hain ya phir bazaar mein milne wale dilkash designs ya fruits aur flowers ke stickers un par paint kar sakti hain. Kitchen sink agar saaf ho ga tou sara kitchen clean nazar aaye ga sink mein bartan na paray rehnay dain, sink ko saaf rakhain.

3: Kitchen Mein Roshni Ka Khayal: Kitchen mein roshni ka munasib intzam zaroori hai sirf chhat ke darmiyan aik light laga dena kafi nahin is liye deewaron par bhi lights honi chahiyain aur phir kabinets ke neechay bhi roshni ka intzam zaroori hai takeh jub aap ko zaroorat ho aap un lights ko on kar sakain aur baghair kisi diqat ke apna kaam anjam de sakain.

4: Nashisht Ka Itzam Theek Karain: Kitchen ke zayada tar kaam kharay ho kar hi kiye jatay hain par kabhi baithne ki zaroorat bhi paish aati hai agar aap ka kitchen bara hai tou aik jagah choti si meez aur us ke gird chand kursiyan rakh dain jis par baith kar aap chotay motay kaam kar sakain agar kitchen mein jagah kam ho yani small kitchen ho tou tab bhi koi chota table zaroor rakhain takeh zaroorat ke waqt counter ke samne usay rakh kar sabzi waghera bana sakain.
Kitchen Baskets: Kitchen mein kam se kam 2 baskets zaroor rakhain takay un mein cheezzain rakhi ja sakain jin ki zaroorat aap ko rozana nahin parti is tarah kitchen zayada se zayada simta hua nazar aaye ga.

6: Bartan Ke Rack, Pot Rack or Dish Rack: Bartan rakhne ke rek bhi bohat zaroori hain un ki wajah se bartan rakhne mein bari sahulat rehti hain taham un ko lagatay waqt bhi khubsurati aur tarteeb ka pehlu madnazar rakha jaye aur ye asani se aap ki pohanch mein ho.

7: Kitchen Ko Fresh Rakhain: Kitchen ko taza rakhne ka tarika ke hai ke aap apni kitchen ki khidki par chotay se gamley mein koi plant rakh dain is se kitchen mein hara bhara tasar shamil ho jaye ga par plants woh rakhain jo indoor plants hon.

8: Pasandeedah Cheezon Ke Liye Jagah: Agar aap coffee ki shoqeen hain tou coffee machine ke liye munasib jagah banayain aur microwave ke liye bhi aik jagah ka intzam karain jahan rakh kar aap ka kitchen pehle se zayada bara mehsoos ho.

9: Tafreeh Zaroori Hai:
Agar aap kitchen mein zayada waqt rehti hain tou wahan aik chota sa tv zaroor rakhain takeh kaam ke doran apne favourite tv shows ya news waghera dekh sakain.

10: Hamesha Behtareen Aur Khushnuma Cheezon Ka Intikhab Karain:
Har woh cheez jo kitchen mein zayada istemal hoti hai yani masala jaat rakhne ke jar, oil ki bottles, spoons aur izafi reck waghera. In ko khareedtay waqt hamesha behtareen ka intikhab karain kyoun keh ye cheezain baar baar istemaal hoti hain aur nazron ke samne se guzarti rehti hain is liye ye cheezain aisi hon ke kitchen khushnuma mehsoos ho.
logoblog

Thanks for reading How To Clean Kitchen In Urdu Kitchen Cleaning Tips Kitchen Saaf Rakhne Ka Tariqa

No comments:

Post a Comment