Faisalabad History In Urdu Faisalabad Weather City Faisalabad Geography Information Pictures

  Lal Gulab      
History of Faisalabad In Urdu: 

Faisalabad ka naam 1979 mein Saudi Shah Faisal ke naam par raha gya is shehar ko apne dehati tamadan ki wajah se aik waqt tak Asia ka sub se bara gaon kaha jata tha, taham waqt ke sath sath ye aik bara shehar ban kar aaj Pakistan ka 3rd bara shehar hai. Faisalabad shehar woh shehar hai jahan se Nusrat Fateh Ali Khan ka taluq bhi hai.


Faisalabad Ka Purana Naam - All Old Names Of Faisalabad:
  1. 1890 ke zamane mein tariq abad ke paas mojood shehar ki sub se purai basti ko pakki mari kaha jata tha.
  2. Sandal Bar - Layal Pur ke wajood se pehle ye zarkheez maidani alaqa Sandal Bar ke naam se jana jata tha.
  3. 1896 mein tehseel ke toor par Layal Pur ke naam se shehar ka baqaida qayam amal mein aaya tha.
  4. 1979 mein divisional sadar muqam banatay waqt Shah Faisal shaheed ke naam se mossom kiya gya.
Faisalabad Ki Tareekh In Urdu:
Faisalabad City ki tarikh bas 1 sadi puri hai, ye alaqa taqreeban 100 bars pehle jhariyon par mushtamil tha aur yahan zayadatar maweshi palay jatay thay. 1892 mein isay behron se seraab kiya janay laga aur 1895 mein idhar rehne ke liye alaqn ki tameer amal mein anay lagi aur is tameer ka matlab is jagah aik mandi qaim karna tha. 19th century mein dusre shehron ko jane wale jub is alaqay se guzartay tou ye jagah un ke theharnay ke liye behtareen hoti thi shayed yehi wajah thi ke us waqt angreez faisalabad shehar ko tourists ke liye aik acha shehar dekhna chahte thay.

Faislabad Ki 100 Saal Purani Tareekh Ki Khuch Jhalkiyan:
  • 1986 mein khuch shehron ke alaqay alag kar ke isay Layal Pur tehseel banaya gya.
  • 1902 mein yahan ki abadi taqreeban sawa 4 hazaar nafus par mushtamil thi.
  • 1903 mein is shehar ka aaj tak ka yaadgar ghanta ghar bananay ka aghaz kiya gya jisay 2 saal ki mehnat ke baad mukamal kar liya gya, 1 sau saal guzarne ka baad aaj bhi ye tameer is shehar ke liye aik pehchanban chuki hai na sirf is mulk mein balkeh puri dunya mein faisalabad ka ye ghanta ghar is shehar ki pehchan bana hua hai.
  • 1906 woh waqt tha jub yahan ki population circular road se bahir nikalne lagi thi.
  • 1908 mein idhar agriculture college aur school ki tameer mukamal hoi jo aaj bhi jaranwala road par maunciple degree college ke naam se qaim hai.
  • 1910 mein yahan par subay ki historical nehar tameer hoi.
  • 1930 woh zamana tha jub is shehar ne bohat taraqi thi jub yahan par karkhanay lagne shuru hue aur phir 14 saal baad yahan par cotton mill bhi ban gyi.
  • 1942 mein Qaid-e-Azam yahan aaye aur dhobi ghat groud mein aik bara jalsi kiya.
  • 3 March 1947 ko faisalabad ki Pakistan mein shamuliat ki khabar milne par yahan ke rehne wale Muslims ne shukrane ke nawafil ada kiye aur aik dusre ko mithaiyan bantein.
  • 1977 mein ye shehar apni bharti hoi population ki wajah se maunciple corporation ka khatab jeetnay mein kamyab hua.
  • 2005 mein idhar city district government na nazaam qaim hua.
Faisalabad Geography In Urdu: Faisalabad mulk ke shumal mashriqi hisay mein hai jo samandar se taqreeban 604 foot unchai par hai aur ye maidanay khitay par hai. Nechay faisalabad ki geography se mutaliq di hoi tasweer se aap andaza laga saktay ke ye shehar kin shehron ke sath lagta hai.


Aabi Zakhair - Water reservoirs:
 Yayan par mojood aabi rasai ka wahid rasta yahan ki nehar hai jo agriculture ke liye istemal hone wali zameen ke 80% alaqay ko sairaab karti hai.

Area - Raqba: Faisalabad ka raqba 5857 muraba km hai jis mein  se 830 par faisalabad city abad hai.

Climate of Faislabad - Aab-o-Hawa: Yahan ki aab o hawa 2 intihaon ko chhuti hai. Idhar summer yani garmiyon mein 50 centigrage darja hararat aur winter yani sardi ke mausam mein kabhi kabhar 0 tak pohanch jata hai.

Faisalabad Weather In Urdu
When Winter Starts In Faisalabad - Mein Sardiyan Kab Shuru Hoti Hain:
Mausam-e-Sarma: Faisalabad mein sardi ka aghaz november mein hota hai jo march tak jari rehta hai magar december aur january faisalabad ke kafi thanday months hotay hain.

Summer Season In Faisalabad In Urdu: Yahan april se october ke jo din hain unhain garmiyon ke mausam mein shumar kiya jata hai.

Faisalabad Population In Urdu:
Abadi ke lihaz se faisalabad mulk ke teesray number ka shehar hai jo sanati shehar bhi hai aur is ki abadi har naye din bharti chali ja rahi hai. Bohat se logon ne achi zindagi ki achi sahulaton ki khatir apni dehati zindagi ko chhor kar is shehar ki taraf hijrat karne ko apne liye behtar samjha. Is waqt yahan ki population 20 lack se zayada ho chuki hai.

Science Aur ilm: Faisalabad ko aik waqt aisa tha jub scientists ki city bhi kehtay thay yahan mulk ke sub se zayada phd scientists rehte hain.

Important Educational Institutions - Aham Taleemi Adaray:
1: Jamia Zarai Faisalabad                             5: Jamia Hamdard
2: National Taxtile University
3: GC University Faisalabad
4: Education University

Health - Sehat: Govenment Hospital in Faisalabad:

1: Allied Hospital                                                 2: Mian Trust Hospital
3: District Headquarter Hospital                          4: Faisalabad Institute of Cardiology
5: Falah Millat Rurst Hospital People Colony     6: Rabia Trust Hospital Batala Colony

Private Hospitals In Faisalabad City:
Shehar mein bay shumar chotay baray niji hospitals hain jo patients ko mehngey ilaj ki sahulat faraham karte hain, is ke ilawa har gali mahalay mein aik private clinic bhi zaroor mojood jota hai.

1: National Hospital Faisalabad                          2: Ghafoor Bashir Children Hospital
3: Al-Noor Hospital                                       

Peenay Ka Pani:
Zair-e-zameen shoreeda pani ne pichlay khuch years se muqami abadi ko kafi bimariyon mein mubtala kiya hai saaf pani ke liye logon ko niji adaron par inhsaar karna parta hai jo water filtration plant ki madad se saaf pani baichtay hain.

Is ke ilawa shehar se gunarnay wali nehar yahan ke rehne walon ko saaf pani ki farahmi mein aham kardar ada karti hai. Nehar ke donon taraf har aik do km ke distance par zameen se pani nikalne wali motors hain jin se log subah-o-sham muft pani bhartay hain.

Sanat - Mueshat:
Azadi ke baad Faisalabad sanati shehar ban kar namudar hua tou is ki mueshat ka bara inhsaar kapre ki sanat tha yehi wajah hai ke ab yahan par textile mills aur power looms bohat bari tadad mein nazar aati hain. Aik andazay ke mutabiq idhar 500 baray sanati unit aur 92 engineering unit aur 100 ke qareeb chemical unit hain aur taqreeban 15000 ki tadad mein woh sanatain mein jinhain ghareelu sanatain kehtay hain aur power looms ki tadad 50000 se zayada hai.

Yahan par aata, cheeni, makhan furniture, jewellery, soap, fiber aur dusri masnuwat payi jati hain.
Mulk ka 25% zar-e-mubadla faisalabad muhaiya kar raha hai aur is lihaz se mulk ka ye dusra bara shehar ban jata hai jo zar-e-mubadla faraham karta hai.

Dry Port Faisalabad: Yahan dry port bhi hai jis ka hujam 60 matric ton cargo daily hai is ke liye roads aur railway lines bhi banai gyi hain jis ko mulk ke dusre baray shehron se mila diya gya hai isay Nawaz Sharif ne tameer kar ke faisalabad ko dunya ke baray sanati shehar hone ki aizaz dilwaya is se pehle ye aizaz manchester ke paas tha.

Transportation In Faisalabad - Zaraye Amdoraft:
Shehar mein asan safar ke liye sarkon ki halat mulk ke kayi dusre shehron se behtar hai. idhar airport bhi mojood hai jo shehar se 15 km ki fasle par hai, hawai aday par pia ke ilawa private companies ke aeroplanes bhi passengers ko apni khidmat faraham karte hain.

Cinema in Faisalabad - Ke Cinema Ghar
1: Babar Cinema
2: Regal Cinema
3: Nishat Cinema
4: Sabeena Cinema

Sqafat Faislabad Culture and Food of Faisalabad:
Agar tareekh ke panon ko khol kar is shehar ke purane dinon ko talash kiya jaye tou ye baat samne aye gi ke is shehar ki apni aik pehchan hai jo isay dusre shehron se munfrid karti hai yahan ka culture, mulk ke dusre shehron mein khasa maqbol hai. Is shehar mein beshumar khubsurat rehaishi alaqon ke sath sath lazeez khanon ke markaz bhi hain jahan log apni family ke sath behtareen khanay khane ke liye atay hain.

Faislabad Ki Shamain:
Sham dunya ke kisi bhi konay mein kyoun na ho us ka nazara kafi dilfreb hota hai aisa hi is shehar faisalabad ke sath bhi hai yahan dobtay suraj ki khubsurat kirnain har dhaltay din ki yadon ko tarikh ke safhon mein qaid kar ke alwida kehti hain.

Faisalabad Pictures Gallery
logoblog

Thanks for reading Faisalabad History In Urdu Faisalabad Weather City Faisalabad Geography Information Pictures

No comments:

Post a Comment